Collection: Handcrafted Stoles

Hindustan ka har kona… apne saath ek nayi kahani lekar aata hai.
Kutch ke garam, pyaar se bune hue woollen stoles…
Bengal ka nazuk Jamdani — 
Odisha aur Telangana ka bold Ikat —
jahaan dhaga, design banne se pehle hi rang jaata hai…
Aur Assam ke handlooms —
jo parampara, Sanskriti aur shaan ko saath le kar chalte hain.
Masha’s Closet mein hum inhi kahaniyon ko celebrate karte hain.
Hum lekar aaye hain Bharat ke alag-alag ilaakon ki ye magical kala se bane hue stoles…
taaki aap jab inhe pehnein…
to sirf kapda nahi, ek culture, ek story apne saath le chalain.